Saturday, February 5, 2011

jindgi kuch is kadar

jindgi kuch is kadar gumnami ki nishani ban gayi
hamne talasha khud ko tho dard ki ek ankahi
si kahani mil gayi
******

Tere intizaar ka sahi hai, aytbaar ka ab hausala nahi hai
Dur se dekhte ho bus, pass bhi aao koi fasala nahi hai
u gum-e-muhobat se gumzadda hai mere naseeb badnseeb
juda nahi hun jammin se, magar mere dard ka koi aasmaa nahi hai...
******

Ye unke bakshe gum ka hi jalal hai,
berukhi ki hawaayen, dil dard ka biyabaan hai
muhobat ka Majra to nahi lagta jahan mein kahi
ashk bech kar milta hai, ye wo aasman hai..
*******

mere dil k rakh ko kured mat...
mere zakhmo ko u hawa na de...
chirag to phir bhi chirag hai...
tera hath ye jala na de.
******

kise talash kare, or kis ke humsafar ban jaye,
khud apni hi rah me, uthte nahi kadam apne.............
******

tum pucho aur main na bolu aise to haalaat nahi
bas zara dil tutta hai aur to koi baat nahi........
********

Tanha ye dil.. tanha har gali.. tanha sa ye jahaan lagta hai..
Milte hain chal dete hain.. mera apna kaun yahaan lagta hai..

No comments:

Post a Comment