Friday, January 28, 2011

Fariyaad kya kare hum,kise dastaan sunaye,

Fariyaad kya kare hum,kise dastaan sunaye,
hum dil se jise chahe use kaise bhul jaye,
charo taraf andhera khushiya na raaz aaye,
hum dil se jise chahe use kaise bhul jaye,

Do din mein doori ho gai,khushiya adhuri ho gai,
kaisi majburi ho gai,sun le mere sathiya,
dhaaga ho to mein todu,dariya ho to mein modu,
chahat na todi jaye ,sun le mere sathiya,

waqt tham si gai,door hum ho gaye,
kya khata ho gai,
khamosh aankho se aask jhalak jaye,
hum dil se jise chahe use kaise bhul jaye,

kismat mein likhi judaai,milo milo tanhai,
chahat bhi raaz na aai,sun le mere sathiya,
aasko ki dhara chu le,dard jo paas ho bhule,
dar hain ki mout na chu le,sun le mere sathiya,
tukde-tukde huwe khwab dil ke mere,
manzile kho gai,chahat badi azeeb hain,
haste huwe rulaye,hum dil se chahe,
use kaise bhul jaye

No comments:

Post a Comment