Friday, January 28, 2011

teri yaad ne tujhe kya pata

teri yaad ne tujhe kya pata
mujhe kaise kaise sata dia

kabhi khalwaton mein hasa dia
kabhi mehfilon mein rula dia

kabhi yun hua teri yaad mein
meri saari namaazein qaza huin

kabhi yun hua teri yaad ne
mujhe mere rab se mila dia...

No comments:

Post a Comment