Wednesday, December 8, 2010

Kis kis tarah se mujh ko na ruswa kiya gaya

Kis kis tarah se mujh ko na ruswa kiya gaya
Gairon ka nam mere lahu se likha gaya
Nikali thi main sada e jaras ki talash may
Bhule se is sukut ke sehara may a gaya
Kyon aj us ka zikr mujhe khush na kar saka
Kyon aj us ka nam mera dil dukha gaya
Is hadase ko sun ke karega yaqin koi
Suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya

No comments:

Post a Comment