Wednesday, December 8, 2010

Ruthi huyi aankho me intzaar hota hai,

Ruthi huyi aankho me intzaar hota hai,
Na chahte huve bhi pyaar hota hai,
kyu dekhte hain hum wo sapne,
jiske tutne par bhi
uske sach hone ka intzaar hota hai.....
*********

Tanhai ke daman me khushion ki bahar ho
shyad uski aankhon me bhi tumhara intzaar ho
jisko pyar karna usko bata zarur dena
kya pata usko bhi apse bepanah pyar ho
*********

unhen dekhne
ke baad ye haalat huyi apni

mujhe har jagah ab wo rang-e-jan nazar aata
hai
***********

Usay yeh
yaqeen k main jaan de na paon ga.......

Mujhy yeh khof hai k Roey ga wo
azma k mujhy..........
********

Meri Chahat
Ko Mere Halaat K Tarazu Mai Kabhi Na Tolna,,

Ae Dost.......

Maine
Wo Zakham B Khaye Hain Jo Qismat Mai Nahi The....!!
********

Zuban bandi
se ghabra ker kisi ka dum na ghut jaye....

.yahi kuch soch ker qudret ne
aankhon mein zuban rakh di...
**********

waqt k
raasty say hum tum ko
ek hee sath to guzarna tha

hum to ji bhi nahi
skay ik sath

hum ko to ek sath marna tha
**********

Dil ki dunia kuch is tarha se ujdi hai....

Usne dard ka aadi bana k dard dena chhod diya......
*******

Tune dekha hai kbhi ek nazar sham ke baad,
Kitne chup chap se lagtey hai
shajar shaam ke baad,
Tu hai sooraj tujhe maloom kaha hai raat ka dukh,
Tu kisi roz mere ghr mai utar shaam ke baad,
*********

kuch neend hai udi iss
kadar jaise aankho ko khwaab se
hui hai adawat
e raat zara tham ke guzar
mujhe bas neend aane ko hai....
******

zindgi ki uljhano me uljha hua
kabhi jalta to kabhi bujhta hua
aarmaano ki kabr per phool chada aaya hu
sach kahu to
apne aap ko dafn karke aaya hu
kabhi jo darwaaza khula rehta tha kamre ka
ab wo
din me bhi band rehta hai
aur band kamre me sirf andhero ka tha ujaala
her taraf bas pasra rehta sannata
aisa hi kuch maahol hota hai tanhai ka
jab sajti hai andhero se mehfil aur
sannate ka naach hota hai...

No comments:

Post a Comment