Wednesday, December 8, 2010

Laakh chaaha tha keh ussay bhool jaoon
Hoslay apni jagah
hein, bebasi apni jagah
*********

har koi ro ke dikhay yeh zaroori to nahin
khushk ankhoon main
bhi selab hua karte hain
*********

aap jinke kareeb hote hai wo bade khusnaseeb hote hai
zulam sehkar bhi jo uff nahi karte unke dil bhi bade ajeeb hote hai
*********

sheesa patthar se takra ke tuta
tutne ki sada sabne suni
yahan toh dil ho tut raha hai
koi awaj sunta nahi hai
**********

nazar walo ne koi aisa nazara nahi dekha
baharoon ne bhi aisa chand sa mukhda nahi dekha
inhi aankho se maine kya-2 dekha hai zamane me
hazaro hastiya dekhi magar tujsa nahi dekha
***********

unka is tarah muskurana bhul jane ke kabil nahi hai
choot khayi hai jo dil maine wo dikhane ke kabil nahi hai
jabse dekha hai jalwaa tumhara koi aankho me jachta nahi hai
yun toh dekhe bahut noor wale sare aalam me tujsa nahi hai
***********

jab tu muskuraye toh jaati hui bahaar laut kar aa jaye

dil-e-bimar ko phir se karar aa jaye
**********

buna tha ek khwab maine,
ab woh khawab na raha.
socha tha humsafar jisse,
ab woh saath na raha...........
*********

Tumhaari ulfat se chal rahi hain meri sansein.........
Jab tak mujhe pyar karoge zinda rahungi me..........

No comments:

Post a Comment