Wednesday, December 8, 2010

suna hai tune aana kam kar diya hai hamari mazaar par

suna hai tune aana kam kar diya hai hamari mazaar par
shayad dusara dildaar mil gaya hai tujhe deedar ke liye
******

jane kyun dard ko hi hame apna banana tha
shayad tanhayion se wafa ka rista hame nibhana tha
*********

palkon ki nami aaj in aankhon mein utar aai
aur khuda bhi ro pada dekh kar hamare dard ki gahrai
*********

na janey kya haal h mera.....
logo s suna h ki presaan hu m
*****

वो मेरी तनहाई और वो उसका याद आना,
जैसे शाम से पहले ही शाम का ढल जाना....
********

Taras gaye hum kuchh sunne ko lab se tere...........
Pyaar ki baat na sahi, koi shikayat hi kar de..........
*********

ये किसकी सदाओं ने आवाज़ दी, मेरी तनहाई डगमगाने लगी है....
चल हरजीत, बहुत हुआ, अब याद-ऐ-वतन सताने लगी है...
********

apna hisa shumar karta tha ,
mujh say
itna wo piar karta tha,
wo banata tha meri tasweerain ,
un say batain
hazar karta tha,
sach samjhta tha jhoot bhi mera ,
yun mera aitbar karta tha,
pahlay rakhta tha phool rastay main,
phir mera intzar karta tha,
aj pahlu main wo nahi mohsin,
jan jo mujh par nisaar karta tha

No comments:

Post a Comment